Jaan-e insaan se khelne wale
Aag ke darya mein pheinkne wale
Kya behal jaein gay raftah raftah
Chashm-e qatil se dekhne wale
Jal jaein gay khod Aag mein apni
Badan-e insaan ki taap seinkane wale
Sadaey haq kya tum ko bhi mili he
Gham-e hyat ki talkhi ko jhelne wale
Seh sakein gay nah ik noor ki kiran ko
Chadar-e zulmat mein phelne wale