Dr. Alim Usmani

Dr. Alim Usmani Poems

Meraj-e-kamal-e-naaz pe jab ehsas-e-jamal aa jata hai,
Dariya se bagole uthte hain, Sahra me ubaal aa jata hai.

Do chaar nashemann jalne se kuch harj nahi yu'n to lekin,
...

Mashraban hum mohabbat ke darvesh hain kab se zulfon ke jangal me rahte hain hum.
Arizon ki tajalli se sarshar hain pak mangon ke sandal me rahte hain hum.

Hum se bezar rahti hain betabiya'n hum to taqseem karte hain madhoshiya'n.
...

Maikhane me saqi ka karam aam nahi hai.
Jannat me bhi har shaks ko aram nahi hai.

Tu ponchle is chand ke chehre ka pasina.
...

Chaman me kaun se hangam-e-rang-o-bu na huye,
Magar jo chaak gareban the wo rafu na huye.

Wahi ki rasm-e-mohabbat thi munhasar jin par,
...

Charagh sham se akhir jalaen kis ke lie.
Koi na aeyega ankhen bichhaen kis ke lie
.
Khincha khincha nazar ata hai hamse har anchal.
...

Ham band kabhi mashghala e gham na karenge.
Ham tark kabhi sunnate Adam na karenge.

Bharkegi wo ab aag ke mar jaenge dono.
...

Ab jam nigahon ke nasha kyno nahi dete.
Ab bol mohabbat ke maza kyno nahi dete.

Tum khol ke zulfon ko uda kyno nahi dete.
...

Meraj-e-kamal-e-naaz pe jab ehsas-e-jamal aa jata hai,
Dariya se bagole uthte hain, Sahra me ubaal aa jata hai.

Do chaar nashemann jalne se kuch harj nahi yu'n to lekin,
...

Saikadon zahr-e-gham apni dunya me hain tishnagi jab sataegi pi lenge ham.
Tum hamari taraf se paresha'n na ho hamne tae kar liya hai ki ji lenge ham.

Jo gham-e-zindagi se hain sahme hue qabil-e-maut hain tu unhen maut de.
...

Dil mera dard ki rajdhani raha.
Mera chehra magar arghwani raha.

Mere saghar me ek qatra-e-mae nahin.
...

Dr. Alim Usmani Biography

Dr. Alim Usmani (1931 - 2012) was born in Qasba Kursi on November 8,1931. He was an Urdu poet and lyricist from Qasba Kursi, Barabanki District, Uttar Pradesh, India. His real name was Dr. Mohammed Abdul Alim Usmani, but he wrote under the takhallus (pen name) of Alim. His father Mohammed Naseem Usmani was a famous hakeem of that era.[1] There was a great influence of Persian and Urdu language in his family from the beginning. He lost his father when he was only 4. His ancestor belonged to Amethi but later on settled in Qasba Kursi where his grandfather(nana) Hazrat Shah Najatullah R.A(Rahmatullah alayhi) lived. After a long time of struggle he succeeded to become a prominent homeopath. He started to compose couplets since he was a student. He had no poetry teacher (ustad) . His main literary work is in the field of Urdu GHAZALS and NAATS. Some famous poet of that time like Sayem Sidanpuri, Kashfi Lukhnavi, Ambae Shah Warsi, karachi, Hayat Warsi, Hamsar Qadiri, Adil Lukhnawi, Tasneem farooqi, Hafiz Salmani, Dr. Ram Kishun Samaji and Ajiz Matvi were his close friends. He had a large friend circle because of his shagufta guftugu BAZM E BAHARE SUKHAN, KURSI, an association of Urdu Poets was founded by him which organized monthly Mushairas continuously for a long time. He was not careful about his work. Only one book DEEWAR, a collection of Ghazals was published in 1995. Dr. Alim Usmani died on May 10,2012 in kursi and buried near the Shrine of famous Saint Hazrat Shah Najatullah R.A.(Rahmatullah Alayhi) [2].)

The Best Poem Of Dr. Alim Usmani

Ghazal - Meraj E Kamal

Meraj-e-kamal-e-naaz pe jab ehsas-e-jamal aa jata hai,
Dariya se bagole uthte hain, Sahra me ubaal aa jata hai.

Do chaar nashemann jalne se kuch harj nahi yu'n to lekin,
Bulbul ki foghan-e-paiham se gulshan pe zawal aa jata hai.

Unko ye khushi hai hans hans kar main unki jafayein sahta hun.
Main khush hun ki unko waqt-e-sitam mera bhi khayal aa jata hai.

Dil mera jinhone toda tha wo puch rahe hain ab mujhse
Wo kaise mitaya jata hai sheeshe me jo baal aa jata hai.

Ho'n laakh ALEEM ab lutf-o-karam bhoolenge na unke jor-o-sitam,
Mushkil se safayi hoti hai jab ji me malal aa jata hai.

Dr. Alim Usmani Comments

Dr. Alim Usmani Popularity

Dr. Alim Usmani Popularity

Close
Error Success