KAVITA SINGH

KAVITA SINGH Poems

ye hamari zindagi ke panne...
kavi bikhre, kavi simte...
tufano ke thapedon me...
kavi tute, kavi sambhle...
...

2.

'Maa tu hoti pass agar'

Ro leti tere kandhe, pe sar rakh..
Kah deti tujhe dil ki baat..
...

Kya tumne dekha hai, uski aankhon me,
Vidai ke samay ki us mehakti najar ki chahat ko?
Aur kya tumne suna hai
gile paiyom ko dhire se aawaz mein
...

Maine chord diya, kitabein padhna...
Ab teri yaad padh kr hi waqt gujar leti hun....
Maine chord diya Barish me bhigna....
Ab tere ishq me hi roj naha leti hun....
...

“soyi hun es intejar me, kabse aye sanam...
ki kavi to tu mujhe nind se haqikat me jagayega...

nigahe jod ke baithi hu, es intejar me aye sanam...
...

7.

Rahne do mujhe, koi aitraj nahi hai
Tumhare mann ke uljhano pe
Ek dipak ban-na chahti hun main, chhoti si
Tumhare mann ke ghan-ghor andheron me.
...

Phool ne bhaware se poochha...

Tu kyu mera deewana hai...
2din ki main kahani hun...
...

9.

wo door hoke vi, itne pass hai mere...
ki na bulaya ja sakta hai
na bhoolaya ja sakta hai.....
...

10.

Dil Tu kyu bekarar hai....
Tujhpe ye kaisi zid sawar hai...
Badlana to waqt ka dastoor hai....
Hum sab waqt ke hanthon majboor hai...
...

Zindagi ke alag alag rang h
Koi thode me khush h
Koi jada me vi tang h
Koi Apno se ruthe h
...

12.

Tum suno to do baatein kar lun..
Tum thahro to do mulakatein kar lun..

Ek umar se Zindagi thahri hai..
...

Zindagi vi ek ajeeb rahasya hai
Kavi hasati hai, kavi rulati hai
Jab vi sochti hun beetein lamhon ke bare me
Kavi ithlati hai, kavi gumsum kr jati hai
...

Aascharya hota hai sunder mahilaon ko unke rahshya par.....

Main ek fashion model ke aakar ke anuroop sundar ya nirmit nhi hun
Lekin jab main unhe batati hun unhe lagta hai main jhooth bol rhi hun
...

tumhara yun pal bhar me badal jana
aaj yaad karke kal bhul jana
dekh ke mujhe yun andekha kr jana
raas nahi aata ab tera mujhse yun rooth jana..
...

Bahut khwaish thi milne ki unse
wo aaye toh jarur par thahre nhi...

Bahut khwaish thi najre milane ki unse,
...

Kavi itrati kavi ithlati,
ban ke vihang gagan me udd jati..
Jati-dharm se pare ho jati,
Sapno ki nayi duniya banati
...

18.

aaj mausam ne karwat badli....
fizaon pe vi suroor sa chhaya hai...

kohre ki aagosh me dekho...
...

ye raatein hai ya, tere khawab hai khubsurat...
ye baatein hai ya, teri yaad hai khubsurat....
ye zazbaat mere, machle se hai.....
tere har ehsas ki, baat hi hai khubsurat....
...

The Best Poem Of KAVITA SINGH

Zindagi *

ye hamari zindagi ke panne...
kavi bikhre, kavi simte...
tufano ke thapedon me...
kavi tute, kavi sambhle...
ulajh si gai hai zindagi...
na jane kis dorahe pe...
jise suljhate huye, ...
mujhe beetein kai arse....
safar lamba hai ye mera...
dagar aasan nhi lagte...
yaha pal-pal me jane kyu...
mausam hai badalte...
hai ummid ek jaria...
chali hun main jis vaste...
kavi to mil hi jayengi...
mujhe wo manjil ke rashtein....

#ye hamari zindagi ke panne......

KAVITA SINGH Comments

Unnikrishnan E S 17 February 2017

Ms Kavita Singh is a poet of natural talent. Her poems show deep insight into the emotional make up. I have tried to translate some of her poems; but doubt whether I have been able to capture their beauty. On the other hand she has made some translation with much ease, which were wonderfully done.

3 0 Reply
Mithilesh Yadav 03 February 2016

kavita khudh ko lada na sakey duniya key galat riwazon sey ye mumkin nahi...... kavi ti umar war dete hai kavita paney key liye, jo kjudh kavita ho ussa koi aur nahi..... keep writing your heart out kavita ji

3 0 Reply

KAVITA SINGH Popularity

KAVITA SINGH Popularity

Close
Error Success