NEHA UPADHYAY

NEHA UPADHYAY Poems

Kitna madhur kitna pyara hota hai bachpan,
Har bandhan se door hota hai bachpan,
Bhedbhao karna janta nahi bachpan,
Pyar ke siva kuch mangta nahi bachpan,
...

Tabiyat bhi thik thi, dil bhi bekarar na tha,
Kisi ka teer-e-nazar dil ke par na tha.
Din bhi haseen the aur sath tha chain,
Khushnuma tha mausam aur meethi thi rain,
...

Beeta din wabas nahin anyenge,
Par yadon main ake bada tadpanyege,
Har bar bas yahi sochega dil,
Waisa hota toh kya hoti manjil,
...

Barish ki bunde kya kehti hain,
Jara socho toh kya kehti hain,
Milna bichadna toh jeevan ki reet hai,
Har lamha zindgi ka ek geet hai,
...

Aaj chai ki chuski ke saath dil main socha,
Ki gar aisa hota toh kaisa hota, aisa hota toh kaisa hota?
Voh natkhat sa bachpan laut aata toh kaisa hota,
Koyal ke kisi madhur geet sa hota,
...

Halki halki jab hawa chale,
Mujhe apne sath le chale.
Hawa ke har raukh par naam hai mera,
Yeh din yeh raat yeh aasman hai mera.
...

Chat par ghumte hue,
Apne khyalon me jhoomte hue,
Maine ek chota gulab dekha,
Dali pe khilta nanha khwab dekha,
...

Aati hai apni kismat par hansi,
Charon tarf hai gum na hai khushi.
Gum ko khushi samajhkar jee rahi hun,
Aansuon ke pyale har pal pee rahi hun.
...

Kashmkash se bhari yeh zindgi,
Kabhi hansaye kabhi rulaye zindgi,
Kabhi sapno ki bagiya sajaye zindgi,
Kabhi gum se hume milaye zindgi.
...

Asha ki lau ab bhi jal rahi hai,
is pal nahi toh agle pal aap jaoge.

Hamari aankhen dekho nam ho rahi hai,
...

Once Ilsa sitting on chair,
was doing her regular prayer,
praying for parrots, pegions and dove,
praying with heart full of love.
...

The Best Poem Of NEHA UPADHYAY

Bachpan

Kitna madhur kitna pyara hota hai bachpan,
Har bandhan se door hota hai bachpan,
Bhedbhao karna janta nahi bachpan,
Pyar ke siva kuch mangta nahi bachpan,
Geli mitti sa komal hota hai bachpan,
Sikhai gayi har baat sanjota hai bachpan,
Apna paraya pehcanta nahi bachpan,
Khud ko sabka sabko apna manta yehi bachpan,
Maa ki dant se siskiyun bhara hai yeh bachpan,
Pita ke pyar ki thapkiyun se saja hai yeh bachpan,
Swachand hai apne doston ko chunne ko yeh bachpan,
Aazad hai asman me udne ko yeh bachpan,
Aaj akele me baithoon toh yaad ata hai voh bachpan,
Meri masumiyat fir se lautata hai voh bachpan,
Kash sada bana rehta yeh nanha bachpan,
Ab bas yadoon me hai voh pyara bachpan.

NEHA UPADHYAY Comments

NEHA UPADHYAY Popularity

NEHA UPADHYAY Popularity

Close
Error Success