Main woh suraj banna chahti hoon
Jo kabhi dhal sakta nahin.
Aur jab raat ho jaaye,
To taaron mein main bikhar jaoongi.
Main woh baadal banna chahti hoon
Jo kabhi mit sakta nahin.
Aur jab saawan aa jaaye
To boondein bankar main bikhar jaoongi.
Main woh jasmine banna chahti hoon
Jo kabhi murjhha sakta nahin.
Aur jab main daali se gir jaoon
To khushboo banke bikhar jaoongi.
Main woh insan banna chahti hoon
Jo kabhi mar sakta nahin.
Aur jab maut karib aa jaaye
To apne usoolon se main amar ho jaoongi.
(written on 31st of May,2006)
Lubna, yeh kavit bahut khoob hai. immensely enjoyed reading it! Preets
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
lubna, keep it up i realy liked it, well don, if you can try you can prolong it more there are so many concepts, good, take care, abid khan