Aaj Na Jaane Kyo Muskurane Ko Jee Chahta Hai? Poem by kaavyaa kriday

Aaj Na Jaane Kyo Muskurane Ko Jee Chahta Hai?



Bahut dino ki baat hai

Magar ab bhi mujhe yaad hai

Toot gayee thee sapno ki mala, bikhar gaye they uske manke

Lekin sambhal ke rakh liye they kuch lamhe maine apne man mein

Aaj adhoore sapno ko dariya mein bahaane ko jee chahta hai

Naa jaane kyon mera muskurane ko jee chahta hai!

Kuchh mausam aaj suhana hai

Ya dil mera thoda deewana hai

Is mausam ki thandak mein yaadon ki garmi mitane ko jee chahta hai

Baj gaye hain 11 lekin ab bhi main so raha hoon

Shayad bachpan ke Sundays aaj main dohra raha hoon

Bas aankhen moond poora din sustane ko jee chahta hai

Aankhen kholoon to deewaron pe lagey rishte hai

Wo alag baat hai rishton mein pad gayee deewaren hain

Aaj deewaron se sab rishte hatane ko jee chahta hai

Naa jaane kyon mera muskurane ko jee chahta hai!

Ehsaas hua hai aaj mujhe ke Zindagi badi suhaani hai

Waise bhi to Har cheez yahan pe faani hain

Ab purane zakhmon ki chita jalane ko jee chahta hai

Zindagi ko naye sirey se bitaane ko jee chahta hai

Naa jaane kyon mera muskurane ko jee chahta hai

Haan…Aaj mera muskurane ko jee chahata hai! !

COMMENTS OF THE POEM
Reetessh Sabrr 12 November 2008

khoobsoorat!

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success