Aamar Kr Dey Mujhey. Poem by mithilesh yadav

Aamar Kr Dey Mujhey.

Rating: 5.0

Aaj kar ley hisab aapna aye jindagi key malik,
Mere ruthey Huey khuda ney mujhey maff kr diya hai,
Jo hui thi galti mujhsey insaan ban key rehaney mein,
USS galti ka aaj insaff kr diya hai.

Aansu le key sarey aapney meri khusiyan mujhey dey dey,
Batakta hua thak gaya hun bhaut tere duniya key bhul bhulaiya mein,
Aaj Teri god mein sir rakhney aaya hun mujhey aaram dey dey.

Aye lok parlok key swami mera karm safal ho gaya,
Tere sundar roop ney aab baas mujhsey mere Garv, abhimaan saab har liya,
Aapna maney jissey baitha tha sab tera hai, tu ley ley.

Mujhey sab sey muqat kar key khudh met yuqt kar ley,
Mujhey dhara key is koney sey utha key brahmand key jarrey-jarrey mein kar dey,
Bhaut ho gaya moh ka, lalach ka, abhiman ka jeewan, mujhey aapney mein mila key aamar kr dey.

Sunday, February 7, 2016
Topic(s) of this poem: life and death
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 09 February 2016

A very touchy poem nicely penned.

0 0 Reply
Abhilasha Bhatt 08 February 2016

Bahut khoobsoorat kavita hai.....loved it.. :)

0 0 Reply
Aarzoo Mehek 07 February 2016

Is masoom si guzarish par Khuda bhi bol padega..Dil ko chuu jaane waale ehsaas.10

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success