Aao Na Phir Kabhi Poem by Akhtar Jawad

Aao Na Phir Kabhi

Rating: 5.0

Chehre ka yeh naqab uthao na phir kabhi,
Khidki ka yeh hijab girao na phir kabhi.
Kandhon pe rakh ke sar zara gao na phir kabhi,
Shayer ka ek khawab sunao na phir kabhi.
Jao to ayse jao ke jana tumhein khale,
Aao to ayse aao ke jao na phir kabhi.
Kitni haseen sham thi jab tum mujhe mile,
Aysi hi ek sham mein aao na phir kabhi.
Sargoshian karo ke ke koi aur keyun sune,
Honton se bat kar ke sunao na phir kabhi.
Alfaz keya sametein ge batein hayn peyar ki,
Aankhon se batein kar ke sunao na phir kabhi.
Shikwah hay tomko peyar na aaya kabhi mujhe,
Aata hay kayse peyar sikhao na phir kabhi.
Chingari jiski rakh ke ander dabi rahe,
Aysi bhi ek aag lagao na phir kabhi.
Apnon mei fasle koi baqi rahein to keyun,
Yeh ghairiyat ke jhagde mitao na phir kabhi.
Bikhreen agar to bikhrein gi ranaiyan bhi sath,
In gesuon ki khushboo sunghao na phir kabhi.
Kayse kata hay din main bataoon tumhein zara,
Kitni jawan rat hay aao na phir kabhi.

Friday, October 2, 2015
Topic(s) of this poem: night
COMMENTS OF THE POEM
Khalida Bano Ali 03 October 2015

Bahut Pryari ghazal hay..............................................

0 0 Reply
Kumarmani Mahakul 02 October 2015

Kitni haseen sham thi jab tum mujhe mile, Aysi hi ek sham mein aao na phir kabhi.....amusing expression. A beautiful poem. ....10

0 0 Reply
M Asim Nehal 02 October 2015

KY A BAAT HAI JANAB....... Jao to ayse jao ke jana tumhein khale, Aao to ayse aao ke jao na phir kabhi......Wah wah.....

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success