Ache Din Poem by Suhail Kakorvi

Ache Din

Kahe jo layega ache dinon ko uska swagat hai
Magar apne se sharminda hoon ab ye meri halat hai
Mujhe har haal main hona hai acha tab ye mumkin hai
yahan har aik par lazim hai acha wo bane pahle
ye taye karlen ki ham qaim rahenge such ke nuqte par
Na wo jadu hai jo le aye ache din mere dilbur
Tumhe gar pyar apne mulk se hai aur mohabbat hai
ki jiski sarzamin me prem hai aur jazb ulfat hai
Rawayat ke hasi'n heere hain iski khaak ke andar
Inhen dhoondhen ki ye hain bilyaqi'n saughate jauhargar
Rahen ham aik betafreeq ye hai purfaza rasta
Sunai dega tab ache dinon ka ha'n madhur naghma
Ek achi soch rakho aur ufuq ko ghaur se dekho
wahin par hai yaqi'n jisse ki sooraj ka nisha'n pao
Ye naara sach bane apni dua bhi hai yahi hardam
To socha hai ki ham khud ko sanwarenge sanam paiham
kabhi kaanton se rangi'n phool khil jaate hain rahon men
Tum is tahreek men shamil raho jaise ho banhon men
Suhail apni dua hai desh men har su bahaara'n ho
Yahan haalat wo hon jin se khush har aik insaa'n ho

jazb=absorbed, rawayat=Pramparabilyaq'n=nishchit roop se saghate jouhargar=Heere banane wale ka uphaar, betafreeq=bina bhedbhaw, pufaza=suhana, Paiham=Baar baar, Har su=har oor,

Wednesday, May 27, 2015
Topic(s) of this poem: patriotic
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success