Adhura Sapna Poem by Naman Bhardwaj

Adhura Sapna

Ek adhura sapna
jo tut chuka hai
chuna chata hun use
khokar bhi pana chahta hun use
use pane ke liye kuch bhi kar sakta tha


Man maarkar khudgarz hokar tal diya
kismat kar rahi thi majak yeh mene maan liya
us sapne ko mene chod diya
dar lagta hai bichad na jaun us sapne ki yaad se
reh gaya vo sapna adhura hi
reh gaya vo sapna adhura hi

Agar mil jaye vo samay dubara
badal dunga us sapne ko hakikat mai
bhula dunga har purani yaad ko
kar dunga uss sapne ko pura
Par
Reh jayega yeh sapna bhi adhura hi
Reh jayega yeh sapna bhi adhura hi

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success