Ae Dile Nadan Poem by sona sharma

Ae Dile Nadan

Rating: 4.5

Ae dile nadan
tu udas kyu hai
itna pareshan kyu hai..

kuch paya kaha hai tune,
fir kisi ko khone ka dar kyu hai

kaha khoya rehta hai..
kya sochta rehta hai
kis ki nazar lagi yeh
tu hasna bhool gaya hai
teri soch ka tha itna bada dayra
tu kyu ek hi bindu pe simat gaya hai


kya usko b khyaal hai tera
ki tu lamha lamha pigal raha hai
kya usko b parvah hai kuch ki
tu yoo katra katra mar raha hai

Ae dile nadan kyu uljhan mei hai..

woh tej hawa ka jhonka..
tera shota sa daman hai
woh ek bada samundar
tu ek bund ka katra hai
woh ek khula asmaan
tera aghosh shota sa hai
woh ek badi chattan
aur tu sheeshe ka hai

woh hai ek jaljala
tujhe barbaad hona hi tha
aab kyu dar raha hai
yeh sab hona hi tha

fir aab udaas kyu hai
itna pareshan kyu hai
jab kanto pe chala tu
toh panvo ka dar kyu hai..
jab aukhli mei sar diya
aab musal se dar kyu hai


Ae dile nadan
tu itna nadan kyu hai......

kyu hai....

COMMENTS OF THE POEM
Jazib Kamalvi 15 January 2018

A refined poetic imagination, Sona s. You may like to read my poem, Love And Lust. Thank you.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success