' Agar Mein Shayer Na Hota ' Poem by Ravi Nadiya

' Agar Mein Shayer Na Hota '

Rating: 2.6


Agar mein shayer na hota
to aye meri jaan,
chehre ko chand na kehta
kehta use mein khuda.
Agar mein shayer na hota,
to aye meri jaan,
jo meine kaha tha kawal hotho ko,
to kehta use me dua.

Jo pehle kaha tha, hiran si hai chal,
to abhi mein kehta, hai nagin si chal.
Jo zulffo ko badal kaha tha yahan,
to kehta use mein resham se bal.

Agar me shayer na hota,
to aye meri jaan,
hasi ko kaha tha bahar meine,
to kehta use mein ffiza.
Agar mein shayer na hota,
to aye meri jaan,
jo ankhon ko mein zil kaha tha,
to kehta use mein nasha.

Ye gaffil ko tune banaya hai shayer,
mein shayer na hota to kya hota jaan.
Badan ko na paras mein kehta kabhi,
na palko ko ratein kabhi kehta.

Agar mein shayer na hota,
to aye meri jaan,
to tujhko na kehta me nilam pari,
mein kehta tujhe ye jahan.
Agar mein shayer na hota,
to aye meri jaan,
na khud ko kabhi mein shayer kehta,
mein kehta tera aaina.


12 May 2009

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success