Aiy Muhabbat Ja Poem by Bano Ali

Aiy Muhabbat Ja

Rating: 5.0

Aiy muhabbat ja eh dil tujhko na ras aya kabhi,
Ja chali ja pas uske jo nahin aaya kabhi.
Kisliye veeranon mein chup kar raha karti hay tu,
In andheron se tera jee keyun na ghabraya kabhi.
Jane keya dene ko aai jane keya le jaey gi,
Yeh bata is dil se abtak tune kutch paya kabhi.
Who mere ghar mein bhi rahkar isqadar keyun door hay,
Aaj tak maine na dekha dost ka saya kabhi.
Who muhabbat hay, tasawar hay ya mera khawab hay,
Lakhon sijde kar liye per ek na bhaya kabhi.

Tuesday, September 30, 2014
Topic(s) of this poem: friend
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Ek mukhtasar ghazal
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 30 September 2014

A sweet ghazal of divine love.

2 0 Reply
M Asim Nehal 30 September 2015

Khush naseeb hai woh jinhe ek pyar karne wala saathi jo mila....warna zindagi mein aksar dikhawe ka pyar milta hai... Lakhon sijde kar liye per ek na bhaya kabhi.

0 0 Reply
S.zaynab Kamoonpuri 07 November 2014

Wah muhabbat pe bhh ap ne la jawab likha. Muhabat kuch aisehi ajeeb cheez hay aur apke shairana andaz ne khoob kaha.

1 0 Reply
Aftab Alam Khursheed 17 October 2014

love that emanates from soul pond...from the core of the heart...

1 0 Reply
Priyanka Gupta 17 October 2014

wahh! ... kya baat hai.. lovely lines Lakhon sijde kar liye per ek na bhaya kabhi.... loved to read it..

1 0 Reply
Geetha Jayakumar 12 October 2014

Beautiful ghazal....Beautiful lines.... Who muhabbat hay, tasawar hay ya mera khawab hay, Lakhon sijde kar liye per ek na bhaya kabhi. Loved reading it. Thanks for sharing with us.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success