Aksar.... Poem by kaavyaa kriday

Aksar....

wo aksar mere khwabon mein aata hai..
masoom nigahon se takta hua..
nanhe pairon par dagmgata sa...
use dekh kar mujhe ajeeb sa sukoon milta hai..
uski nigahon mein khwab nahin hai...
sirf hai ek utsukta...
sahaj si...
wo chinta nahin karta...
shayad arth bhi na jaanta ho....
wo dara nahin... sehma bhi nahin hai...
kyonki uske sapne shayad..
bahut chote hain!
jinke tootne ka dar,
use nahin stata...
uski jeb mein kya hai...?
nahin rupye nahin hain...!
na hi rasiden hain;
sirf ek pathar hai.. gol sa...;
jo mila tha use sadak par pda hua........
in choti choti cheezon mein,
uski khushi hai!
kitnee asaani se dhoond leta hai,
khushi wo in choti cheezon mein..
kitna pyara hai wo...
kitna alag hai mujh se... aksar khwabon mein,
aane waala.. wo.... mera BACHPAN....

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success