Anjaan Shehar Poem by Shrini Deewana

Anjaan Shehar

Anjaan shehar anjaan safar manzil ka na koi thikana hai,
Chahe katin ho raahein magar mujhko chalte hi jaana hai,
Na jaane kahan le jaayegi jeevan yeh maine nahin jaana hai,
Aise anjaan safar mein bhi humdum tera yaad bahut suhana hai.

Chahe jo bhi shehar mein rahata hoon teri yaad bahut satati hai,
Kabhi yaad mere tere oh dilbar ashkon ki lehar beha jaati hai,
Use rokna chahoon to bhi nahin rukthi woh to behate hi jaati hai,
Aansoon ke har ek boond mein sanam teri tasveer nazar aa jaati hai

Tujhe yaad kiye bina sanam mujhko neendh kabhi nahin aati hai,
Neendh bhi chain ki hoti nahin khawabon mein tu roz satati hai,
Jab bhi dekhoon tujhe mein khawabon mein ek muskaan chaa jaati hai,
Tere ek jhalak paate hi sanam dil mein sukoon ki lehar chaa jaati hai.

Kyon yaadon mein mere basi ho tum kyon itna mujhe tum tadpati ho,
Sanam itna door mujhse tum rehakar kyon itna mujhe tum rulati ho,
Waise to ab kuch dinon se mein tujhe aksar yaad nahin karta hoon
Bas jab jab saansein leta hoon sanam yaad tujhe mein karta hoon.

Ek baar paas mere aakar bhar lo mujhe tum apne baahon mein,
Ek baar tere baahon mein aakar mujhe chain se sanam so jaane do.
Kabhi kisi kaaran sanam tum door mujhse nahin ho jaana,
Tere bina nahin jee paayega sanam yeh tera pagal “Deewana”.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success