Ankhon Mein Ji Mera Hai Idhar Yar Dekhna Poem by Meer Taqi Meer

Ankhon Mein Ji Mera Hai Idhar Yar Dekhna

Rating: 3.0


ankhon mein ji mera hai idhar yar dekhna
ashiq ka apane akhri didar dekhna

kaisa chaman ke ham se asiron ko mana hai
chak-e-qafas se bag ki diwar dekhna

ankhen churaio na tuk abr-e-bahar se
meri taraf bhi didah-e-khunbar dekhna

ae ham-safar na able ko pahunche chashm-e-tar
laga hai mere paon mein a kar dekhna

hona na char chashm dik uss zulm-paishah se
hoshiyar zinhar khabardar dekhna

sayad dil hai dag-e-judai se rashk-e-bag
tujh ko bhi ho nasib ye gulzar dekhna

gar zamzama yahi hai koi din to hamsafar
is fasl hi mein ham ko giraftar dekhna

bul-bul hamare gul pe na gustakh kar nazar
ho jayega gale ka kahin har dekhna

shayad hamari khak se kuch ho bhi ae nasim
girbal kar ke kucha-e-dildar dekhna

us khush-nigah ke ishq se parhez kijio 'Mir'
jata hai leke ji hi ye azar dekhna

COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 18 April 2016

Wah wah kya baat hai.....Meer is meer.

1 0 Reply
* Sunprincess * 27 May 2014

.............a wonderful poem....thanks for sharing...

1 1 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success