Badnaam Chehra Poem by Pradumna Jindal

Badnaam Chehra

Gumnaam raaston ka kya mukaam hoga?
Ik din apna bhi koi naam hoga,
Naam jo sharabiyon ka h, iss jahan me,
ik din mera mehboob bhi badnaam hoga.
Mera karzz h tujhe satane ka,
Tune sauda kiya tha mujhe mitaane ka,
mujhe mita kar bì tujhe yeh ahsaas hoga,
fir sharab ki botal me na nasha hoga,
aur na hi kisi shishe me apna chera hoga,
bas..mere sath tera naam bhi badnaam hoga.
Wo kanch ke tukde jin par khoon laga tha,
wo maut ke tohfe jin par mera naam likha tha,
maut ko bi aaj mujh par garv hoga,
par na tujhe koi farak hoga
ye bi sach he ki tum roogi,
pr afsoos tere aanshuon me na gum hoga, na mere jaane ka ahsaas hoga.
Jab hum akhiri saanse gin rhe honge,
tum wo jashn mana rhi hogi,
humari yaade tumhe sata rhi hogi,
jab tumhari muskaan bi ro rahi hogi,
mere alfaaz ka shara toot rha hoga,
aur tumhari sharab ka nash bi fika pad rha hoga.
Yaad karo un dino ko jab me khush tha,
wo lamhe tumhe rula rhe hoge,
tumhari aakho ka aasun gir rha hoga,
tumhara dil bi phatne ko taiyaar hoga,
magar! tab tk hum ja chuke hoge,
aur tum badnaam ho chuke hoge.
Kya sochte ho kya koi jaadu hoga,
khuda ko kya koi ahsaas hoga,
ya yun khe, ki tumhe galti ka pata chalega,
toh jara madusala me beyth kar dekhna,
humara adhura jaam ab bhi wahi pada hoga,
aur hamari najron se koi nasha nikal rha hoga.
Fir jara waqt mile to bejaan sarir ko chu lena,
shayad mujhe marne ke baad ye maioka mila hoga,
aur fir shayad tum roogi,
tum aansu bhaogi,
tum fir gale lagogi, mafi mangogi,
par ye raktcharitra tab bejaan hoga,
aur na hi mujhe par tëra koi asar hoga.
Tum mujhe marne k baad bhi sataaogi,
rukhi aakho se hi rulaaogi,
ye bi sach he ki tum uss din jyada roogi,
fir jara najre ghuma kar dekh lena,
tera gulab mere jaam pr pada hoga,
iss BADNAAM ke sath kabi to tera rishta juda hoga,
sochta hun k tumne wo gulab utha liya hoga,
mera adhoora jaam bi khatm kar diya hoga,
tere liye to mera chera badnaam tha,
aur tumne mujhe bebas kr diya hoga,
tum chali gayi hogi hume chhod diya hoga,
badnaami lekar tumne mera chra ood liya hoga, , .
Log tum pr has rhe hoge aur shayad tumhe sukoon mil rha hoga,
tum andhar se jal rhi hogi, dil bi toot rha hoga,
awaaz me na dum bachi hogi, na mohbbat,
bas! wo shisha jo mera chera dikhata tha, ,
use jakar dekh lena
wo tab bi jal rha tha, , aur aaj bhi jal raha hoga,
AUR AAJ BHI JAL RHAA HOGA....

Monday, January 12, 2015
Topic(s) of this poem: Love
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success