Ban Jaun Chor Bhi Mein.. Poem by Yashvardhan Goel

Ban Jaun Chor Bhi Mein..

ban jaun chor bhi mein
gar aa jaye mujhe churana
chura lu teri udasi
chura lu sara fikrana

tu khamosh na rha kar
kuch byan toh kiya kar
jo bhi mile chubhan
use mujhko de diya kar

Ati he yad teri
use kaise me chhupa lun
karta hu yun toh kosis
par kaise yun bhula du

tanha sa tu mila he
khoya sa na rehne dunga
aansu ko tere yun
bewazha na behne dunga

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success