Chaand Mein Dekhoon Tujhe Poem by Shrini Deewana

Chaand Mein Dekhoon Tujhe

Kaise kahoon tujhe kaise guzaarta hoon mein raatein,
Jab raaton mein sanam ho nahin paati tujhse baatein,
Tadaptha hai dil mera sanam baatein karne ko tujhse,
Na jaane kab aayegi sanam milne ko tu phir mujhse.

Tarasthi hai meri aankhein ek jhalak paane ko tere.
Yeh to jaanta hoon mein ke tu nahin hai kareeb mere,
Phir bhi dil hai jo nahin maanti hai koi bhi baatein mere,
Kaise samjhaoon is dil ko yeh tum hi batao sanam mere.

Chaand ko dekhta hoon aur dikhta hai mujhe chehara tera,
Tum hi batao kaise hataoon mein chaand se nazarein mera,
Nazarein nahin hat rahi hai chaand se dekhta rehata hoon tujhe,
Dil karta hai badal bankar mein apne bahon mein bhar loon tujhe.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success