Chai Ki Cuski Poem by NEHA UPADHYAY

Chai Ki Cuski

Aaj chai ki chuski ke saath dil main socha,
Ki gar aisa hota toh kaisa hota, aisa hota toh kaisa hota?
Voh natkhat sa bachpan laut aata toh kaisa hota,
Koyal ke kisi madhur geet sa hota,
Voh maa ki ungli chod ke bhag jana laut aata toh kaisa hota,
Barish ki pehli boond sa hota,
Voh doston se ladna jhagadna laut aata toh kaisa hota,
Badalon ke garajne ke ehsaas sa hota,
Voh mera ruthna sabka manana laut aata toh kaisa hota,
Patjhad ke baad khilti bahaar jaisa hota,
THa kaid dil main ek sawal pucha hota toh uska jabaab kaisa hota,
Jo dekha khud ko aine main toh laga aisa, hota aisa hota.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success