Chand Ki Hairani.... Poem by saloni yadav

Chand Ki Hairani....

Ek din wo chanda hmara,
Aa gya dharti pe saara...
Jo tanha firta bechara,
Ha puchhe raaz hmara...

Kaha sur me usne aise,
Mene dekhe kaise kaise...
Tu sun le bat 'Saloni',
Mujhe bata saari anhoni...
Aise muskati hai,
Wo bat chhupati hai...

Koi tujhse dur hai kitna,
Shayd mere hi jitna...
Kya wo ishq ki murat hai,
Ya koi dilkash surat hai...

Kyu ys se mohhabat hai,
Me yu hairan hu kab se...
Kyu uski jarurat hai,
Me yu hairan hu kab se...

Wo nasib me tere nahi,
Jo karib bhi tere nahi...
Teri chahat ka hisaab nahi,
Kyu deti jawab nahi...

O chanda thoda sambhal,
Tu ruk jaa pal do pal...

Duniya ki en batoo se,
Mein pareshan si hu...
Haa tu bhagwan sahi,
Par mein insaan hi hu...

Muskaan me koi raaz nahi,
Mein such hi btati hu...
Ye jiski amanat hai,
use yaad dilaati hu...

Wo kitna dur hai mujhse,
Mein bhul si jati hu...
Tujhe pta hai uski nazaro se,
Thoda ghabrati hu...

Na wo ishq ki murat hai,
Nahi dilkash suart hai...
Par uski masumiyat ki,
Is dil ko jrurat hai...
Na mein janu na dil jane,
Mujhe kab se mohhabat hai...
Ye tu jne ya rab jane,
Kya teri hasrat hai...

Tu chanda hai kitna dur,
Huaa ane ko majbur...
Ye to hai mera vaada,
Wo tujhse dur hai jyada...

Wo aaye ya na aaye,
Me intejaar karti hu...
Nahi janti mein ki,
Use kitna pyaar karti hu...

Sun chanda yu muskaya,
Use koi yaad hai aaya...
Dhimi awaz me usne,
Mere kano me farmaya...

Ki kash ki koi pagali,
Meri dhadkan sun paati...
Meri kismat bhi shayd,
Tere us ke jaisy ho jati...

Thursday, March 5, 2015
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
neerajj pandey 21 March 2015

hmmm nyco

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success