Chololate Ki Athmakhata Poem by daieem khan

Chololate Ki Athmakhata

Rating: 4.5

mera janm kaha huwa kaise huwa mujhe pata nahi
mera koyi naam nahi
mere ek nahi hazaro naam hai
pata nahi mai apne app ko kya bulahu
mera sidha koyi aakar nahi
mai chota bhi hu bada bhi hu..
meri koyi pechan nahi
koyi mera dhuk samaj nah pata..
mera sidha koyi daam nahi
koyi samaj nahi pata mere dard ko
mere sharir ke kayi tukde kar ke khate hai wo dard mujhe hotaa hai
wo bade maze le kar khate hai
mujhe afsos hota hai mai bol nahi pata
jab log mujhe khate hai meri jaan chali jati mai
mai bhag nahi pata
par ek bat soch kar khush ho jata hu
mai duniya me dukhi logo ke chare par muskan lata hu
baccho ke dil me khushiya lata hu..
logo ke thyoharo me mai saat rahta hu
mai pyar ka ek aakar hu
jho khud ko mita kar dusaro ko khush karta hu
jidar bhi mai jahu waha khushiya lata hu
mai CHOcolate hu hann cHOcoLAte, , ....
jahoge jaha bhi tum
pahoge waha mujhe
dekh li hai saari duniya mai
baite baite, bina chale, bina bole
ab hai hi kya mere zindagi me
logo ke dard mai dur kar deta hu
sochte sochte ki kabhi tho samjhe gi ye duniya mujhe
lag bhag 1500 sal hogaye mujhe
is duniya me aake
dekh raha hu mai is duniya ko
log tho bahut waist hai apne hi gham me
soch kar khush ho jata hu mai meri zindagi tho,
bhetar hai in logo se
khena chahun ga mai itna
insan apne gham ko bhul jana chahiye
dusaro ki khushi dekh kar
tabhi rah payenge wo is duniya me KHUSh ho kar, .....

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
hmmmm hav writtn this in coll while i was eatin a chocolate......
sayin we just tnk of aur self mn tnk only we hav probz in life..
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success