Darr Lagta Hai! ! ! ! Poem by ANJALI KAKATI

Darr Lagta Hai! ! ! !

Darr lagta hai

Tumhari nasazi se darr lagta hai.
Narajgi se darr lagta hai.
Na jaane kab, kahee tumhe chot lage,
Aapne har labz,
Hr harkat se darr lagta hai.

Tum hanste ho toh,
Sawan mehkta hai.
Tumhe kabhi ruswa kare
Tumhare aagaz se
Darr lagta hai.

Bahut manaya khud ko,
Raahe seedhi par
Chalne ko,
Jaante hai..
Meri manzilon par
Tumhara kahi, koi naam tak nahi.
Par jo kadam
Seedhi rah ko chale,
Un kadmon ko uthane se
Darr lagta hai.
Manzilon tak pahuchati
Har paadav,
Har muudav se
Darr lagta hai.

Tum nahi hote toh
Shayad mujhe bhool jaoo.
Tum hote hot oh
Kahi humse kheej jaoo.
Tumse doori ka darr..
Tumse nazdiki ka darr.
Jo tumhe ruswa kare
Uss har soch se
Darr lagta hai.

Darpan dekhkar sochte hai,
Chamdi hai,
Umar ki dhoop me dhal jayeegi.
Phir shayad tumhari nazron me
Woh pyyar na rahe.
Par har saans mujhe
Kar deti hai khafa.
Aajkal,
Saans hi lene me
Darr lagta hai.

Rook lo na bhagti doorti
Lamhon ki sooiyon ko yahi,
Aur mil jaayen hum khak banker,
Tumhari khak me kahin.
Aajkal jeete hai toh
Marne se darr lagta hai.
Aur marte hai toh
Jeene ka mann karta hai.

Tumhi kaho..
Kya Karen? ?
Tumhe khone ke
Khawab se bhi

Darr lagta hai! ! ! .

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success