December! ! ! Poem by Shahzia Batool

December! ! !

Rating: 4.1


Ab k phir December hay
khirkiyon k pardon say
jhaank kr zara dekho
kesa sard mosum hay
bheega bheega manzar hay
soi soi shaamen hen
hum hen or yaden hen
kyun na apni yadon say
gard jharr kr dekhen
soey soey jazbon ko
phir ubhaar kr dekhen
sath sath ye puchhen
zakam zakhm yadon se
khoon to nahi rista?
dilfigaar sapnon ko
chot to nahi lagti?
Phir jab in sawaalon ka
jo jawab bhi aey
uss ko maan lena hay
kyun k ye to hona hay
kyun k phir December hay.
Aasman pe kia dekhen?
dhund ki hukoomat hay
kuchh nazar nahi aata
urr chukay parinday bhi
sard sard podon se
phool bhi to ghaiyb hen
aik wo jo gulshan mein
khush gulu si koyal thi
wo bhi ab nahi gaati
kyun kharray darakhton pr
chhai ye udaasi hay
zard zard pattay hen
kis qadar khamoshi hay
aik sard mehri hay
Ghaur se zara dekho
doobta hua suraj
apni be-zubani mein
keh raha hay dunia say
iss gulab manzar say
doobnay ka ye lamha
kisqadar sitamgar hay
kia kahen December hay
zeest ki kahani ko
sochh ki rawani ko
rokna hi behtar hay
khirkiyon k pardon say
jhaank kr zara dekho
bheega bheega manzar hay
ab k phir udaasi he
Ab k phir December hay.

COMMENTS OF THE POEM
Diwakar Pokhriyal 03 December 2012

nice and lovely one: -)

3 0 Reply
Abhishek Tiwari 29 December 2012

Haaaa Shahzia DIDi.... Agar main ye nahi padhta to I would have missed something in 2012.. I am too raw to comment on this wah! ! !

3 0 Reply
Neela Nath Das 30 December 2012

Wow an awesome write!

2 0 Reply
Saadat Tahir 26 December 2012

This is your turf...your forte.... Powerful imagery shrouded and wrapped in emotive and dramatic lines Superb...loved reading! ! !

2 0 Reply
Saadat Tahir 26 December 2012

This is your turf...your forte.... Powerful imagery shrouded and wrapped in emotive and dramatic lines Superb...loved reading! ! !

2 0 Reply
Brian Jani 16 May 2014

Shahzia Amazing showcase of poetry, keep it up

0 0 Reply
Passionate Reader 30 June 2013

zeest ki kahani ko sochh ki rawani ko rokna hi behtar hay khirkiyon k pardon say jhaank kr zara dekho bheega bheega manzar hay ab k phir udaasi he Ab k phir December hay. Extremely beautiful lines! ! ! December has different connotations and this is a beautiful description of december! ! ! Vividly described and it's deep 2; not so simple as it looks! ! !

0 0 Reply
Farah Ilyas 12 May 2013

One more masterpiece from our great poetess, we proud to have such a great poetess among us...December has been remained topic of many poet's poems but it hasn't treated as marvelously earlier.. fabulous.

0 0 Reply
Shaista Nigar 25 January 2013

boht khubsurat likha he, december wese bhi ek poetic month he kafi wajoohaat say, nibhaya bhi bht achha, gud!

0 0 Reply
Jahan Zeb 10 January 2013

kyun kharray darakhton pr chhai ye udaasi hay zard zard pattay hen kis qadar khamoshi hay Fantastic Poetess. leken is nazm par baat bhi osi meethi zuban mai ho jis main aap ne ye nazm likhi hay. Zabardast

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success