Defeat... Poem by Pradeep Pathak

Defeat...



Aasma saaf hai,
Sub her roz ki tarah kaam per hain...
Kuch adhpanpey phool bhi aaj khiley hain...
Muskuraatey dikhe hain.
Hawa main kuch tahandak mehsus hui hai...
Sub aman chain aaj mere gaon main hai...
Achanak khamoshi tooti...
Budhe kaka ne laathi thaami aur poocha...
Aankhir aaj ye huwa kyun hai?
Ye shor jo mara huwa tha-
aaj ye jaga kyun hai?
Unke tazurbey ko sub bhul chuke the..
Sub shor ki aor daur chuke the...
Kaka ne chotey adney se bachhe ko dekha...
aur pooch padey...
Bata beta aankhir kyun sub log daur chaley...
Bachha bola kaka-
Aaj chupp khamoshi ka raaj khula hai...
Subki khushi se parda aaj hata hai...
Aap to je chuke sawan, saare zindagi ke..
Aub to din hain khuda ki bandagi ke...
Aaj fir ek naujawan naakami ki maut mera hai....
Kitni aash ke baad vo bhi shabdon ki maar se dara hai...
Ye shor bhi usi ka hai jo utsav sa dikhta hai...
Ye vo khof hai jo bachpan se he sulagta hai...
Aap paresaan na ho aaram se so jaao....
Aasman main taraon jugnuon se mulakaat ker aao...
Aub is daur ka hisaab kuch alag hai...
Aub her nai maut ka naqaab kuch alag hai...

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success