Dil-E-Nadan Poem by Parveen Jagga

Dil-E-Nadan

Rating: 2.5

Aaj bhi dil me zinda hai hansi Bas labon tak aati hi nahi hai
Is kadar mere dil me baste hai woh Ki yaad dil se jati hi nahin hai
Kaun kehta hai ki zindagi mein yaadein chand palon ka sarmaya hai
Unki yaadon mein hi toh maine ab tak zindagi ko bitaya hai
Phir bhi jab koi puchta hai ki baste hai woh kahin ab bhi dil mein
Ashko ko chupakar kehta hoon ki ab toh yaad unki aati nahin hai

COMMENTS OF THE POEM
Abduhoo Salamath 19 August 2016

sirf app ko hi nahee bulki har vo shaks jo sachcha piyar karta hai phir vo milta nahi to us ka yahi hal hota hai...

0 0 Reply
Parveen Jagga 15 June 2012

Dil se judi har baat ka jawab hai yeh.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success