Dil Ki Dhadkan Poem by Shrini Deewana

Dil Ki Dhadkan

Baitha hoon yaadon mein chand ghanton se mein yunhi,
Bahut se logon ko dekha hai yahan aate jaate hue maine,
Ek tu jiska intezaar mera nazar aur dil karta rehata hai.
Ek tu hi hai sanam jo nahin aati nazron ke saamne mere.

Kab tak mein yunhi tarasta rahoon batade mujhko,
Itni tadap ab mujhse nahin saha jata hai sanam,
Thod de saari bandishen jo bandhi hai is duniya se,
Aake baahon mein sama ja ab tu ai mere sanam.

Tere bin har ek lamha bhi mujhe ek umar sa ab lagta hai,
Dil mein ek darr aur sehami si uljhan basi rehati hai,
Rona chaoon to bhi mein ro nahin sakta kyonki darr hai,
Kahin beha na jaye teri tasveer jo basi hai meri aankhon mein.

Dil ki dhadkan har ghadi ab tej se dhadakthi hai,
Jab bhi teri yaad mere dil mein aake mujhe sataati hai,
Ek pal bhi nahin jab yaad na teri aaye mujhko,
Dil ki dhadkan to bas har pal ab tej se dhadakthi rehati hai.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success