Din Na Beete..Na Beett Ti Ye Raat Poem by ANJALI KAKATI

Din Na Beete..Na Beett Ti Ye Raat

Din na beete
na beettti hai raat,
yaad me aapke
na subah ka hota hai ujjala
na khatam hoti kali se ye raat.
Rook paate aapko
Palko ke darmayan
Itni na thi kabiliyat
Na hi koi chah.
Phir kho kar aapko
Kyon hota hai ye mann udass.
Bemanzil rahee thi
tanha musafir the.
Phir kuch pal ke saath se
Kyoun ho gaya hume
Aapke humsafar hone ka
Ehsas?
Jante thee
dil tab bhi Tha tanha,
Kal bhi rahega tanha
Phir tanhaee kyoun
Lage itni tanha
Aur dil itna khali
Aapke bina.
Sannate se ghabrate hai
Shor me sambhal jaate hai
Ab shor bhi lage hai sannata
Jaane ab kab sammbhalanga
Ye mann mera
bhulbhuliya me jo khoya
sa hai aaj.
Din na beete
na beettti hai raat- anjali

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success