Do Ehsas Poem by Mohammad Akmal Nazir

Do Ehsas



1- Raat ki tanhai mein uska paigham,
Mujh mein jeene ki ek aas jaga deta hai,
Rooh ke zakhm bhi hanste hain ujaale ban kar,
Talab-e-zeest bhi koi badha deta hai.

2- Mere ehsas ko ulfat ki hawa deta hai,
Mere jazbaat mein ek aag laga deta hai,
Unki nafrat ke sahare hi main zinda rahta,
Kaun hai jo gul-e-ummeed khila deta hai.

COMMENTS OF THE POEM
Tasadduq Hussain, Ejaz 17 April 2011

Bahut achaiy. ahsaas-e-umeed hee ulfat ko jilaa daitaa haiy aap kee urdu shairee bahut achhee haiy. Is maiN ehsaas kee gehraii kaiy elawa jazbaat kaa dilchasp andaaz nazar aataa haiy. Likhtaiy rahee aiy.

0 0 Reply
Mohammad Muzzammil 12 January 2011

Your both poem are great and full of emotions. Your language is really simple but your sentiments create a kind rapture. Nice poems

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Mohammad Akmal Nazir

Mohammad Akmal Nazir

Bahraich, U.P. India
Close
Error Success