Dosti Poem by kaavyaa kriday

Dosti

Rating: 5.0

Sache maino mein pucho to kya hai dosti,
umar, rishte, naate kya shabdon mein,
bina bandh paye vo hai dosti.
bina kisi bandhan ke do shakshon ko jo,
bandh kar rakh paye vo hai dosti....
ek juban se kuch bhi na bole aur doosra,
use samajh jaye vo hoti hai dosti...
saath rehne par to sabhi nibha lete hai,
milon door se bhi jo nibha kar dikha
di jaye vo hoti hai dosti...
sukhmein to sab saath dete hai,
jo dukh mein bhi sada saath nibhaye,
vo hoti hai dosti....
kehne par to sabhi kar lete hai,
par bina kahe jo karli
jaye vo hoti hai dosti....
nibhane ke liye jise dhan doolat kya,
dil kya jaan bhi kam pad jaye vo hoti
dosti....
toh manaye, khushiya, mohobaat aur rishte,
naate kya jo bhagwon se bhi pehle maan li,
jaye vo hoti hai dosti...
khatam ho jaate hai dilon k bandhan, rishton ka pyar par jo kabhi bhi khatam
na ho paye vo hoti hai DOSTI.....

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success