Dosti Roti Poem by Akhtar Jawad

Dosti Roti

Rating: 5.0

Inke jhagde ajeeb jhagde hayn,
Subh ko istarah lade jaisey,
Ab kabhi sath chal na paen ge,
Jab kahe wuh main ja rahi hoon kahin,
Ab kabhi laut kar na aaoon gi,
Iska matlab hay wuh pakae gi,
Aaj phir se wuh dosti roti,
Tumko batalaoon dosti roti,
Keya ajab shay hay kaise pakti hay,
Chote chote bano pere do,
Jaise joban kisi haseena ke,
Ghee laga kar hay belna isko,
Senkna isko garm choolhe per,
Jaise do dil kutch istarah se milein,
Ab inhein maut kar na pae juda,
Jeb halki to karni padti hay,
Jisko khani ho dosti roti,
Koi tohfa to leke aana hay,
Rat rani ko phir manana hay,
Sham aai to dekha phir they ek,
Soye banker wuh dosti roti!
Jane keya ho raha hay pachchum mein,
Apne poorab mein aise hota hay!

Monday, March 23, 2015
Topic(s) of this poem: friendship
COMMENTS OF THE POEM
Ajay Kumar Adarsh 22 August 2016

bahut hi jabartdast nazm................10+++

1 0 Reply
M Asim Nehal 23 September 2015

Wah wah............Dosti Roti.............Purdi Roti is competitor as well.

0 0 Reply
Rajnish Manga 28 March 2015

Is pyaari si nazm ke liye main aapka behad mashkoor hun. har ghar me kash poorab ki in fazaaon mein, muhabbat chulha jalai bethi ho, aur ye dosti ki roti pake aur khaaye pyyar se sabhi usko, khuda kare zindagi mahak jaaye. Thank you very much, Sir, for sharing this beautiful poem, full of sentiments.

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success