Duniya Se Yun Na Dar Poem by Aftab Alam

Duniya Se Yun Na Dar

Rating: 5.0

Kis hunar ki baat Karen tumse, bolo, ai bekhabar
Na ummiden haath lagi, Na aasmaan haath aayaa
Deen aur duniya ko alag karnewaale rahbar,
Na duniya teri na deen tere kuchh kaam aayaa,

Ye aaghaz hai parwaaz ki, ab to udaan bhro,
Imaan ke chaadar ko ab kafan to na samjho,
Jubaan kholo- jubaan kholo, sine me aag bharo
Raaja bhi tu, faqeer bhi tu, haqeer na samjho

Insaaniyat mitaane waale Allah waale to nahin,
Imaan mitaane waale Allah waale to nahin
Ummid ke darwaaze kabhi yun band nakaro,
Duniya teri, deen tera, bas ek Allah se daro,

saikdo sajde se bachaa hun, ek ko sajde kar
Duniya se yun na dar, sirf tu Allah se dar

Monday, August 18, 2014
Topic(s) of this poem: light
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success