Ek Mutthi Bhar Mitti! Poem by Geetha Jayakumar

Ek Mutthi Bhar Mitti!

Rating: 5.0

Ek mutthi bar mitti
kya kya nahi keh jaathi hai!

Khoon pasine ki,
Kushoo aathi hai.
Anaj daane ki yaad dilathi hai.
Humari peit ki bhookh mitha dethi hai.
Humari pyaas mitha dethi hai.

Hum bane hai se jis mitti say,
Who mitti humari hai.
Ek mutti bhar mitti kya kya nahin keh jaathi hai!

Pag pag mein jo kheth aur khalihan
Lehrah rahe hai,
Won mitti humaein yaad dilathi hai,
Pasine se seencha hai meine isse,
Jo kaieeon ki zindagi kayam rakthi hai,
Mere pasine ki keemath yeh fasal,
Jo uss mitti se aaye hai,
Ek mutthi bhar mitti kya kya nahin keh jaathi hai!

Iss mitti ko aazadi dilaney mein,
Kai khoon pasine bahaye gaye.
Iss mitti me leekha hai,
Kaiyoon ne khoon se apne naam.
Yeh mitti humari jannani maatha hai.
Hum in mitti se bane hain.
Ek mutti bhar mitti kya kya nahin keh jaathi hai!

Jis mitti se hum aaye thae.
Ussi mitti mein humein jaana hain.
Karmon ka phal humein issi mitti mein bhogna hai.
Iss mitti mein humain naye karmon ko janam dena hain.
Jo goonj goonj kar aane walon pidiyon ko humari dastaan sunayegi.
Yeh mitti humari jannani maatha hai,
Hum iss mitti se bane hain.
Aur humein issi mitti me jaana hai!

Ek mutti bhar mitti kya kya nahin keh jaathi hai!

Sumi Nair

Submitted: Friday, October 11,2013
Edited: Wednesday, November 20,2013

©ALL RIGHTS RESERVED BY GEETHA JAYAKUMAR 2014
© 2014.

Geetha Jayakumar.

Friday, December 13, 2013
Topic(s) of this poem: soil
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 04 May 2015

An amazing poem............................

1 2 Reply
Khalida Bano Ali 13 October 2014

Dil main utar jane wali awaz hay yeh.

1 3 Reply
Geetha Jayakumar 13 December 2013

English version...One Handful of soil...

1 2 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success