Ghazal 13 Poem by Daagh Dehlvi

Ghazal 13



tumhare khat main naya ik salam kis ka tha
na tha raqib to akhir vo nam kis ka tha


vo qatl kar ke har kisi se puchte hain
ye kam kis ne kiya hai ye kam kis ka tha


vafa karenge nibhayenge bat manenge
tumhen bhi yad hai kuch ye kalam kis ka tha


raha na dil main vo be-dard aur dard raha
muqim kaun hua hai maqam kis ka tha


na puch-pach thi kisi ki na av-bhagat
tumhari bazm main kal ehtamam kis ka tha


hamare khat ke to purze kiye parha bhi nahin
sun jo tum ne ba-dil vo payam kis ka tha


inhin sifat se hota hai admi mashhur
jo lutf ap hi karte to nam kis ka tha


guzar gaya vo zamana kahen to kis se kahen
khayal mere dil ko subah-o-sham kis ka tha


har ek se kahte hain kya 'Dag' bevafa nikla
ye puche in se koi vo gulam kis ka tha

COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 23 September 2015

Outstanding Ghazal...............Nothing liked it.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success