Ghazal-Keya Kho Geya Keya Pa Geya Poem by Akhtar Jawad

Ghazal-Keya Kho Geya Keya Pa Geya

Rating: 5.0


Zidigi ay zindigi tujhse main ukta geya,
Yeh jagah hay kaun si main kahan per aa geya.
Apnon ne ayse dukh diye jinka beyan mumkin nahin,
Keya kahoon kisse kahun keya kho geya keya pa geya.
Keya bataoon reza reza hoke keyun bikhra hoon main,
Main khud apne aap se ghabra geya takra geya.
Tujhko kho kar yun laga shayed khuda bhi kho geya,
Tujhko pakar yun laga tha main khuda ko pa geya.
Phool kante bun gaye dil mein jakar chubh gaye,
Na zamin hi hil gayee na aasman tharra geya.
Pehle hi keya pas tha han ek bharam tha jo geya,
Loot kar rehzen bhi mujhko aaj to sharma geya.
Chup raho Akhtar ke khamoshi hi mein hay aafiat,
Keya zamana kho geya aur keya zamana aa geya.

Tuesday, August 5, 2014
Topic(s) of this poem: sadness
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Sometimes I too become sad and frustrated.
COMMENTS OF THE POEM
Sikandar Hayat 05 August 2014

Dil Se Kareeb Tar, Bht Munasib Alfaz ki Adaygi ke sath. Thanks

0 0 Reply
Khalid Saifullah 11 March 2017

Liked this beautiful ghazal...................................

0 0 Reply
Khalid Saifullah 11 March 2017

Alovely ghazal...........................................................

0 0 Reply
Neela Nath Das 15 August 2014

Chup raho Akhtar ke khamoshi hi mein hay aafiat, Keya zamana kho geya aur keya zamana aa geya. - - - - -wonderful lines.

0 0 Reply
Khalida Bano Ali 09 August 2014

Bahot achi ghaza hay bahot pasand aai.

0 0 Reply
Geetha Jayakumar 08 August 2014

Beautiful Ghazal....... Keya zamana kho geya aur keya zamana aa geya. Beautiful lines....Loved it.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success