Ghazal-Lagte Hain Bhaley Poem by Akhtar Jawad

Ghazal-Lagte Hain Bhaley

Rating: 5.0


Mujhko to bas woh usi waqt hi lagte hain bhale,
Roothe hote hain manata hoon woh milte hain gale.
Woh bure to nahin lekin bahut ache bhi nahin,
Aa to jate hain magar aate hi kehte hain chale.
Rakh ho jae yeh dil rah-e-wafa ho roshan,
Main to din rat dua bas yehi karta hoon jale.
Rat aayee hay magar aap nahin aaye hain,
Mujhko keya lena hay is rat se dhalti hay dhale.
Waqt keya aaeya gawarah nahin nafrat mujhse,
Woh ghari aai hay mujhpar ke jo taale na tale.

Saturday, April 12, 2014
Topic(s) of this poem: love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
An old ghazal.
COMMENTS OF THE POEM
Khalida Bano Ali 19 September 2016

A beautiful ghazal......................................

0 0 Reply
Bri Edwards 25 May 2015

i could NOT have said this better, my friend! bri :)

1 0 Reply
Khalid Saifullah 12 February 2015

Bahut hi peyari Ghazal Hay......................10

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success