Ghazal - Maikhane Me Saqi Ka Karam Aam Nahi Hai, Poem by Dr. Alim Usmani

Ghazal - Maikhane Me Saqi Ka Karam Aam Nahi Hai,

Maikhane me saqi ka karam aam nahi hai.
Jannat me bhi har shaks ko aram nahi hai.

Tu ponchle is chand ke chehre ka pasina.
Ja tujh pe mre khoon ka ilzam nahi hai.

Ab to tri dunya se bahot door basa hun.
Ab to mre khwabon me tra kam nahi hai.

Pinha'n hai jo khushyon me kasak usko na poochho.
Aram se wo hain jinhe aram nahi hai.

Ruswai se tum kyon ho ALEEM itna parisha'n.
Woh bhi koi insa'n hai jo badnam nahin hai.

Friday, March 20, 2015
Topic(s) of this poem: life,love,love and art,urdu
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Dr. Alim Usmani

Dr. Alim Usmani

Qasba Kursi
Close
Error Success