Ghazal-Who Bholi Bali Aurat Jab Poem by Akhtar Jawad

Ghazal-Who Bholi Bali Aurat Jab

Rating: 5.0


Jo shaiy apnon mein unqua hay who beganon mein milti hay,
Muhabbat darhaqueequat sirf deewanon mein milti hay.
Farishta jurm karta hay to sharminda nahin hota,
Khataon per pasheemani to insanon mein milti hay.
Wh bholi bali aurat jab kabhi kutch kho si jati hay,
To mere dil ke chote se nihan khaanon mein milti hay.
Parishan zulfon wali shan pariyon jaisi teri hay,
Tu ghqazlon mein bhi dikhti hay tu afsanon mein milti hay.
Hay teri mamata chai hui sari khudai per,
Tu insanon mein milti hay tu haiwanon mein milti hay.
Who jiski chonch mein zaitoon ki ek shakh hoti thi,
Who zakhmi fakhta janon na anjanon mein milti hay.
Diya jo jhonpri mein jal raha hay roshni uski,
Na masjid na kalisa na sanamkhaanon mein milti hay.

Tuesday, May 27, 2014
Topic(s) of this poem: love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
In Persian/Urdu Ghazals every two lines have a separate meaning.
COMMENTS OF THE POEM
Ajay Kumar Adarsh 23 August 2016

awesome gajal 10++ specially these line deserve 10+++ thanks sir sharing with us.. Jo shaiy apnon mein unqua hay who beganon mein milti hay, Muhabbat darhaqueequat sirf deewanon mein milti hay. & Who jiski chonch mein zaitoon ki ek shakh hoti thi, Who zakhmi fakhta janon na anjanon mein milti hay. Diya jo jhonpri mein jal raha hay roshni uski, Na masjid na kalisa na sanamkhaanon mein milti hay

0 0 Reply
Khalida Bano Ali 07 October 2015

Bahut hi khoobsoorat ghazal............................................

0 0 Reply
M Asim Nehal 22 September 2015

Outstanding Ghazal, Left me speechlessssssssssss........... Who jiski chonch mein zaitoon ki ek shakh hoti thi, Who zakhmi fakhta janon na anjanon mein milti hay. Diya jo jhonpri mein jal raha hay roshni uski, Na masjid na kalisa na sanamkhaanon mein milti hay.

1 0 Reply
Khalid Saifullah 29 December 2014

Hay teri mamata chai hui sari khudai per, Tu insanon mein milti hay tu haiwanon mein milti hay. Bahut Khoob.............10

0 0 Reply
Amitava Sur 27 May 2014

Hi - Akhtar, with my very limited knowledge, I went through your poem and I loved the essence of it. Though I don't understand all the words but the rhythm and the gist of the ghazal was too good.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success