Ghazal Zindagi Dheere Dheere Na Chal Pai Hay Poem by Akhtar Jawad

Ghazal Zindagi Dheere Dheere Na Chal Pai Hay

Rating: 5.0


Qurbaten faslon mein badal to gaeen yad lekin na dil se nikal pai hay,
Ishq ka rog hay husn ka sog hay yeh tabiat na ab tak sambhal pai hay.
Maine koshish bahut ki magar keya karoon zindagi dheere dheere na chal pai hay,
Chal chalao hay is zindagi ka magar teri chahat na dil se nikal pai hay.
Husn walon pe uthti hay ab bhi nazar tak aur jhank ka aaj bhi shauq hay,
Kaun sa shahr mein woh haseen shakhs hay jispe tabiat na meri machal pai hay.
Aap aaye abhi aur chal bhi diye do ghari to mere pas baithen zara,
Birha ka deep to bujh geya hay magar wasl ki shama ab tak na jal pai hay.
Aap aahi gaye meri bahon mein par aankh uthti nahin hont khulte nahin,
Barf si sard hay sang si sakht hay uf yeh ranjish na ab tak pighal pai hay.
Jab koi poochta hay mera halchal, hans ke kahta hoon ache hi hayn hal-o-chal,
Han chalan to hay bachpan se bigra hua, han yeh fitrat na ab tak badal pai hay.

Dosti ek thi jo ke chahat banee, aarzoo ek thi jo ke hasrat banee,

Uf woh hasrat ke jisko fana hi nahin na to puri huwee na nikal pai hay.

Thursday, May 29, 2014
Topic(s) of this poem: love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Expressions
COMMENTS OF THE POEM
Khalid Saifullah 07 May 2018

What a ghazal! It's amazing.

0 0 Reply
Khalida Bano Ali 01 February 2017

Bahut hi peyari ghazal hay........................................................

0 0 Reply
M Asim Nehal 25 September 2015

Wah Wah...Kya baat hai Kaun sa shahr mein woh haseen shakhs hay jispe tabiat na meri machal pai hay. Aap aaye abhi aur chal bhi diye do ghari to mere pas baithen zara, Birha ka deep to bujh geya hay magar wasl ki shama ab tak na jal pai hay.

0 0 Reply
Amitava Sur 31 May 2014

Akhta Vai - It's lovely but could not enjoy fully (pura lutf utha nei paya) since I don't know Urdu. tell me the meanings of ... Qurbaten, tabait, sard, ranjish, fitrat, hasrat, fana in my inbox. Thanks

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success