Ghum Ko Jaise Chupata Hai.... Poem by Rishi Thakkar

Ghum Ko Jaise Chupata Hai....

Rating: 5.0

Ghum ko jaise chupata hai koi..
Meethi hasi ke kambal mein toote dil ki kampan siskiyon ka dard chupata hai wahi..

Zindigi sikhati hai aksar haar se
Pooch ti hai humein,
Kya le k aaye thee sansaar mein
Kya le k jaaoge yahan se...

Fir apne aap ko phuslata hai koi
Aasuon ki oss bundo mein sacche dard ko puchkarta hai koi..
Ek hasi ka bahana de jata hai koi..

Ghum ko jaise chupata hai koi..
Naye Naye riti riwazo k kadghare mein parikshaein deta hai wahi.. 
Uske antarman ka dard na jaanta hai koi...

Ha usse ghum hai
Usse ghum hai k usko maanta hai har koi..
Fir kyun aise karam karta har koi..
Ek taraf agarbatiya aur diye jala kar aastha karta hai..
Duji taraf chori balaatkar ek duje ki ninda kar gusse ko har insaan k uskarta har koi...

Ghum ko jaise chupata hai koi..

Ye koi aur koi nahi khud bhagwaan hai..
Dard hai uska k laachar kitna insaan hai..
Ghum hai usko kaise banne sabki khushiyon ka palanhaar
Jab har koi Ek duje ka dushman bana yahan ek duje ka guru sarkar..
Zara uss baap k mann ki socho jo karta bacho se pyaar hai..
Par bacho ne kaha seekha samjauta karna ye sab to apni zidd puri karne ko har kadam uthane tayyar hai..

Ghum ko jaise chupata hai koi..
Par shigra kalki roop mein aa Raha hai wahi...


     

Monday, January 4, 2016
Topic(s) of this poem: pain,religious
COMMENTS OF THE POEM
Kumarmani Mahakul 04 January 2016

Life teaches many interesting things. This poem is very amazing poem shared with reality definitely.10

0 0 Reply
Rishi Thakkar 04 January 2016

Thanks so much sir.I'm glad you liked it :)

0 0
Me Poet Yeps Poet 02 April 2020

Zindigi sikhati hai aksar haar se Pooch ti hai humein, Kya le k aaye thee sansaar mein Kya le k jaaoge yahan se... WAH KYA BAAAT HAI DOST DARD KOE CHIPPAYA NA KAROE

0 0 Reply
Kavita Singh 03 September 2016

sukh dukh hi zindagi ka adhar hai, khushi aur gham se hi to zindagi me bahar hai... nice poem

0 0 Reply
Aarzoo Mehek 05 January 2016

Issi ka naam zindagi hai.

0 0 Reply
Abhilasha Bhatt 05 January 2016

Bahut accha likha hai...loved to read this...thanx for sharing rishi :)

0 0 Reply
Rishi Thakkar 05 January 2016

Thanks abhilasha :)

0 0
M Asim Nehal 05 January 2016

Kya baat hai...Badhiya kavita hai......Sachchai ke kareeb hai aur dil ke pass hai wahi..

0 0 Reply
Rishi Thakkar 05 January 2016

Shukriya sir :)

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success