Gudiya Ki Shadi Poem by Bano Ali

Gudiya Ki Shadi

Rating: 5.0


Main gudiya ka beah rachaoon gi,
Main dulhan ise banaoon gi,
Main ne bazar mein dekha hay,
Kutch chote chote khilione hayn,
Ek Tv hay, aur fridge bhi hay,
Bartan bhande sab milte hayn,
Plang bhi hay aur sofa bhi,
Bas kapre ammi see dena,
Han zevar main le aaon gi,
Abbu barat ka khana,
Pakwa denge woh bole hayn.

Gudda meri saheli ka hay,
Woh mere sath hi parhti hay,
Woh gudda bahut hi acha hay,
Us gabroo jawan ki monchen hay,
Kaptan hay woh ek fauji hay,
Woh banka aur chabeela hay,
Gudiya ko heer sunata hay,
Yeh gudiya meri dil har gai,
Woh aaya hay kutch din ke liye,
Jo usne meri gudiya se kaha,
Yeh samjhi nahin per man gai.
Woh mani to main bhi man gai,
Ab gudiya ko rukhsat karna hay.
Lo gudiya ki meri aai barat,
Palki mein dulha bana hay baitha,
Sehra bhi bandha, chehra chupa,
Chote bare dono bhai chale,
Gudiya se poochne aagaye hayn,
Gulabi kali ban gayee aaj phool
Kaho bibi gudiya ke gudda qubool,
Gudya to kutch na boli magar,
Abbu bole yeh khamoshi,
Ek masoom sa hay iqrar,
Yeh mashriq ki lajai kaliyan hayn,
Inki aankhen bolti hayn,
Aur gudde se abbu ne poocha,
Gulabi kali ban gayee aaj phool
Kaho miyan gudde nikah qubool,
Wohan ek ladka bahut hi sharir,
Peeche se bola mujhe bhi qubool,
Main gudya ka abbu banun ek din,
Main ghusse men aai main rone lagi,
Sabhi mujhko aa kar manane lage,
Gudguda kar mujhe phir hansane lage,
Hansi main to mehfil mein sab hans pade,
Mubarak Mubarak ki aain sadaen,
Sabhi lapke khana tha itna laziz,
Aur gudiya meri phir juda ho gai,
Magar ek ldka bahut hi sharir,
Rog ban kar meri zindigi ban geya,
Ab to balon mein chandi chamakne lagi,
Sath deta raha kitna sacha tha woh.

Monday, September 8, 2014
Topic(s) of this poem: marriage
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Marriage of dolls is a popular game of girls.
COMMENTS OF THE POEM
Umar Hashmi 01 December 2015

A beautiful poem.............................

0 0 Reply
Salini Nair 26 December 2014

i am unaware of this game....enjoyed it

0 0 Reply
Ramesh Rai 25 September 2014

When i think on marriage of doll it takes me 100yrs bck when this was celebrated with grand festivity. A beautiful write.

0 0 Reply
Aftab Alam Khursheed 12 September 2014

It is analogy through doll Rog ban kar meri zindigi ban geya, Ab to balon mein chandi chamakne lagi, Sath deta raha kitna sacha tha woh.

1 0 Reply
Akhtar Jawad 08 September 2014

Ek peyai si nazm gudiya ki shadi bhi humari saqafat ka ek hissa hay.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success