Gulmohar Poem by shambhu nath

Gulmohar



Dhoop me tap kar Sookh gaye hai
taruwar sare
aashaa ki kiran
liy byakul hai,
pashu pakshi bhee nahi
himmat hare
chiriyo ki boli
baisho ki toli
nadi talab khagoli
fir bhee nirashaa haath lagi
varsha nahi aankhe kholi
har thak kar ek pair ke neeche baithe
pair bhee lachaar usane kiya vichaar
inse kya bolo
pattiya bhee nahi maise doloo
fir bhee wah pair bol para
apani surili bari khol para
suno suno hamari baat
ab hona nahi nirash
badal karke ge megh me varshe ge
meri andar khurafat hogi
thora intjar karo fir barsaat hogi
kisi ne awaj lagayee
jo pair ko diya sunayee
tumhara naam kya hai
tumhara kaam kya hai
tumhe itana kyo vishvas hai
apane pe kyo naaz hai
naam hamara gulmohar hai
jam ke ham bhee poot hai
mere phoolo ko sab sungh
man harshit kar lete hai
sachche man se log mere pusp ko
prabhoo charano me dete hai
aash bara visvas hai
mat man me maro viyog
vyakul logo ki bhasha sun kar
megh raj fir neeche nihare
barsha pani ritu sayani
pawan chala karke manmani
kanchan bagiya dekha par chanchal
yuva chiraiya chee-chee boli
gulmohar ki khushiya
has has kar dal hilane lagee
sab logo ka tan harshit tha
pyaar ke baza bajane lage

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
shambhu nath

shambhu nath

Pratap Garh Uttar Pradesh
Close
Error Success