'Happy Independence Day' Ka Message Poem by Tarun Kumar

'Happy Independence Day' Ka Message



nihaar rha tha mobile ko apne
mera pehla phone mein laya
'Happy Independence Day' ka message
subah phone mein maine paya

message padh rha tha jab mein
phone ne ajeeb sa behave kiya
unwantedly jaise usne ye message save kiya

lekar chala jo use mein, suna vo zor zor hans rha hai
jaise uske changul mein koi shikaar fas rha hai
poochha maine to usne meri yun khilli udaayi
bola ki independence atleast mujhse to lelo bhai

jahan jate ho tum mujhko rakhte apne saath ho
privacy to zero kardi, sone nahin dete even raat ko
kaise batlaun mein tumko badan mein kitna pain hai
but usse kehkar kya fayda jo already insane hai

meri gulami to ek mazak ka udahran hai
tum gulam ho aaj bhi iske hazaron karan hain
aankh kholo to dikhega har taraf se tum jakde hue ho
shasan kar rahi videshiyat, jiska aanchal pakde hue ho

dekhoge charon or to iska ehsaas ho jayega
nakli hai aazadi ka danka, ye tathya neend udayega
aaj bhi tum par raj karti videshi vichaar dhara hai
na bhasha apni, na rehen sehen, values ko feink utara hai

style dekha parde par to peechhe peechhe tum chal diye
na socha na samjha isko, jaal mein fas kar tum ho jiye
ab abhi apni soch mein tum sab videshiyon ki japte shaan ho
saal mein do din bhi kyon kehte 'mera Bharat mahaan ho'

aainda agar koi aisa message ya call mujhe karta hai
desh prem ke naam par formality poori karta hai
hang ho jaunga samajhlo, battery discharge kar lunga apni
tum to kabhi sudhroge nahin, izzat kyun giraun mein apni

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success