Har Tyohaar (Hindi) Poem by REETESSH SABRR

Har Tyohaar (Hindi)

Rating: 5.0


Har tyohaar yahi paigaam le ke aata hai
sukh-sampatti ho zindagi mein khairiyat ho

Mazhab ho koi bas yahi sikhlaataa hai
dil mein pyaar ho nazar mein achchhi niyat ho

Padho namaaz, japo shlok ya maththa teko,
aam ek aadmi si tumhaari khaasiyat ho

Kaam chhota ya badaa aap toh na hoyega,
dhyaan dene ki har ek pal zarurat ho

Dard-o-gam se kaun duniya mein maayus nahin,
tum roton ko hansaao toh khushqismat ho

Aadmi jaante huye bhi ulajh jaata hai,
zindagi jab talak khwaab se haqiqat ho

Duaaein imtihaan ki woh ghadi hain 'SABR',
tabhi ummeed bhi hai jab unmein shiddat ho

COMMENTS OF THE POEM
Jyoti Saxena 27 August 2009

badi ada sey aapney apney dil ki raza kahi hai andaaz naya hai; musla abh bhi wahi hai lovely poem - i give full 10

1 2 Reply
Anjali Sinha 02 October 2008

very nice and idd mubaarak +10 regards anjalie

0 2 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success