Hriday Jwar Poem by Utsav Patel

Hriday Jwar

Ye man ke hiran kyu bhage bhage jaye...
Albeli sanse kyu yu tham si jaye...

Intezar karta hu me shabnam k fisalne ka...
Intezar karta hu me fool k khilne ka...

Kabhi lage ki so jau teri aankho k saye me...
Fir lage kyu tu yu bhagi bhagi jaye...

Kandho pe sapne liye chale the hum...
Fir kyu ye pair thirakne lage...

Haseen yaade Kyu yu bikharne lagi...
Fir kyu aankho me aansoo liye use samet raha hu...

Nigaho me teri rangeen muskan likh raha hu...
Fir kyu Shikvo k parde kabhi na hat paye tumhari aankho se...

Kehkasha koi tum yu sunati gai...
Fir lage bas Itni si hi duniya he...

Tere ashko ki gehraio me kyu me dooba dooba tha...
Jab sari haqeekat taash k mahal si he...

Jeevan ki ranginiyat kyu fiki lage...
Jab mar saku tumhari panaah me...

COMMENTS OF THE POEM
Abii Sharma 18 November 2013

itss too good brooo pls u must read my poem (meri zindagi)

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Utsav Patel

Utsav Patel

Surat, Gujarat, India
Close
Error Success