Hum Kyu Baghe Ja Rahe Hain? Poem by imnt alive

Hum Kyu Baghe Ja Rahe Hain?

Dur se bhagti zindagi

Apno ko sapne dikhati zindagi

Bas bhage ja rahe hai hum

Ek pal ka chain nai

Jaise dhodh koi laga baithe

Kya chutha hai kabhi socha nai

Kya paya hai kabhi samjha nai

Bas bhaghe ja rahe hain

Dur aasman mein chamakte taaron se puchoo

Uss chamakte hue suraj aur sitaroon se puchoo

Baarish ki pehli bunde kaha gum gayi

Un sard hawaon se pucho

Hum to bas baghe ja rahe hain

Zindagi kisi dhodh mein

Phulo ki khilti kallion se pucho

Uss bhavroon ki masti se puchoo

Kisi pedh ki chaon mein dekho

Uss pedh ki girti daali se puchoo

Garmi se tapti ret se puchoo

Sadkoo pe dikhte us pani se puchoo

Puchoo un sardi ki lambhi raatoo se

Hum kyu bhaghe jaa rahe hain? ? ? ? ? ?

Hum kyu bhaghe jaa rahe hain? ? ? ? ? ?

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
imnt alive

imnt alive

jannat e hasin
Close
Error Success