Invisible Poem by Panchi Gupta

Invisible

Rating: 4.5

Me kal bh yahi tha, me aaj bh yahi hu,
Fark bas itna sa hai me kal tak dikhta tha, aaj bas dikhta nahi hu;
Kal tak bikta that naam mera dunia me, aur aaj me sapno me bh kisi se milta nahi hu,
Kal tak tha jin logo ka vishwas me aaj unki ummed k aas bh nahi hu;
Kyunki kal tak dikhta tha me aur aaj me dikhta nahi hu.
Agar chahoge dekhna aankhon se mjhe to yun to me kisi ko dikhta nahi hu,
Magne se jo mil jau dubara ab me vo mannat nahi hu;
Mahsus kar sakte ho to kar lo mjhe, kyunki me to kal bh yahi tha aur aaj bh yahi hu;
Isiliye kehta hu khushnaseeb ho Jo ze rahe ho ye zindagi varna kal tum bh yahi khaoge,
Me kal bh yahi tha, me aaj bh yahi hu,
Kal tak raunak tha jis ghar k aaj usse ghar k deewaro par ek tasveer me kaid hu.

Sunday, November 22, 2015
Topic(s) of this poem: emotions
COMMENTS OF THE POEM
Jazib Kamalvi 09 November 2017

A refined poetic imagination, Panchi. You may like to read my poem, Love And Lust. Thank you.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success