Ja Kahyio Un Se Nasim-E-Sahar Poem by Bahadur Shah

Ja Kahyio Un Se Nasim-E-Sahar

Rating: 3.0


ja kahyio un se nasim-e-sahar mera chain gaya meri nind gai
tumhen meri na mujh ko tumhari khabar mera chain gaya meri nind gai

na haram mein tumhare yar pata na surag dair mein hai milta
kahan ja k dekhun main jaun kidhar mera chain gaya meri nind gai

ai badshah-e-khuban-e-jahan teri mohni surat pe qurban
k main ne jo teri jabin pe nazar mera chain gaya meri nind gai

hui bad-e-bhari chaman mein ayan gul buti mein baqi rahi na fiza
meri shakh-e-ummid na lai sanwar mera chain gaya meri nind gai

ai barq-e-tajalli bahar-e-Khuda na jala mujhe hijr mein shamma sa
meri zist hai misl-e-chirag-e-sahar mera chain gaya meri nind gai

kehta hai yahi ro ro k 'Zafar' meri ah-e-rasa ka hua na asar
teri hijr mein maut na ai abhi mera chain gaya meri nind gai

yahi khana tha shero k aj 'Zafar' meri ah-e-rasa mein hua na asar
tere hijr mein maut na ai magar mera chain gaya meri nind gai

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Bahadur Shah

Bahadur Shah

Dehli / India (Mughal Empire)
Close
Error Success