Jab Kisi Se Pyar Hua Tha Poem by NEHA UPADHYAY

Jab Kisi Se Pyar Hua Tha



Tabiyat bhi thik thi, dil bhi bekarar na tha,
Kisi ka teer-e-nazar dil ke par na tha.
Din bhi haseen the aur sath tha chain,
Khushnuma tha mausam aur meethi thi rain,
Par us ek sham ne mausam badal diya,
Dil par ek meetha ghav is kadar diya,
Ke ab toh kate se bhi din katta nahi.
Uska voh hansta chehra nazar se hatta nahi,
din bhar intjar hota ki kab hogi raat,
Aur rat ko umadte dil ke jasbat,
Dil me base the arman hazar,
Jo kehna chahta tha dil ek bar,
Yeh tab ki baat hai jab kissi se ikraar hua tha,
Yeh tab ki baat hai jab kissi se pyar hua tha

COMMENTS OF THE POEM
mohsin amin khan 12 May 2010

raelly nice poem i am amzed by your hold over urdu and hindi

0 0 Reply
Ratnakar Rout 05 May 2010

A beautiful love poem dear NEHA.Please carry on.Thanks a lot for sharing.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success