Jindagi.. Poem by Srishti Shrivastava

Jindagi..

Jindagi gam ka andhera hai...
khushiyon ka yahan na dikhta savera hai

jindagi andheron ki aandhi hai...
khushiyan yahan kabhi na aani hai...

jindagii dukhon ka ek dariya hai...
jahan khushi ka na koi khevaiya hai.....

jindagi pankhudi hai pushpon ki
jin par bhavron ki bhi manahi hai...

jindagi saar hai santoor ki
jinki tarang tabaahi hai....

jindagi aakaash ka wo taara hai...
tutna hi jiska sahara hai...

jindagi baadal ki wo bund hai...
saagar me ghulna hi jiska junoon hai....

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success